Thought of reminding you the cost of our freedom
Dont forget their sacrifice,their valour efforts,their courage .....for the freedom in which we were born and have enjoyed so far:

23rd-March 1931
Its 75 years of their valour martyrdom.
Exactly 75 years back from here three gallant sons of India
(Shaheed Bhagat Singh,Shaheed Sukhdev,Shaheed Rajguru) sacrificed
their lifes for the sake of our freedom.
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaray dil meiN hai,
dekhna hai zor kitna baazuay qaatil meiN hai
karta nahiN kyuN doosra kuch baat cheet,
dekhta hun maiN jise voh chup teri mehfil meiN hai
ay shaheed-e-mulk-o-millat main teray oopar nisaar,
ab teri himmat ka charcha ghair ki mehfil meiN hai
waqt aanay dey bata deNge tujhe ay aasmaN,
ham abhi se kya batayeN kya hamare dil mein hai
khainch kar layee hai sab ko qatl honay ki ummeed,
aashiqoN ka aaj jumghat koocha-e-qaatil meiN hai

Sarfaroshi ki tamanna ab hamaray dil meiN hai !!!